Surat surat kya karti ho
	Surat main koi dum nahi
	Agar tum khud ko samajhti ho Madhuri
	Hum bhi Shahrukh say kum nahi
	 
	
	Khuda Kare Ki Tujhe Aisi Beemari Lage
	Tu Budhape Mein  Bhi Kuwari Lage
	Darjan Ho Jayein Bacche Tere
	Tu Phir Bhi Hum Ko Pyari Lage
	
	
	Tanhaye woh bimari hai
	Jiska doctors kay paas ilaaj nahi
	Hum is bimari say bach saktay hain
	Agar tumko shaadi say inkaar nahi
	
	
	Tere baap ko shadi main nahi boolayengay
	Budha phir say satthhiya gaya
	To hum to jeetay jee mar jayengay
	
	
	Chalo bhaag kay chaltay hain
	Mahoorat ka time nikal jayega
	Tere baap kay aanay say pehlay
	Apna ticket kat jayega
	
	
	Jhuka kay phool ki daali
	Tum phool tor lena
	Hum say dil laga kay phir
	Apnay baap saalay ko chor dena
	
	
	Yoon bun thhan ker na niklo
	Tum ramzan ko chat per
	Koi apna roza tor day ga
	Tum hain chaand samajh ker
	
	
	Baaharon nay kiya sajday
	Phoolon nay ser jhookaya hai
	Jitna manhoos dikhta hai baap tera
	Tujh main utna hi noor daala hai
	
	 
	Moor ker na dekh mujhe
	Yoon hanstay hanstay
	Mere dost hain baray hoshiyaar
	Keh dengay bhabhi namaste
	
	
	Dhoti nay kaha pajamay say
	Hum tum banay ek dhaagay say
	Farq sirf itna hai hum main
	Main khulti hoon pichay say
	Tum khulti ho aaagay say
	
	
	Aashiq kabhi marta nahi
	Zinda dafnaye jaate hain
	Kabar khod kar dekho to woh
	Intezaar main paaye jaatay hain