Gul gaya, Gulshan gaya, Gaye honthon ki laaali
	Ab to peeecha chor de, main ho gaye bachchon waali 
	
	Khudi ko kar buland itna
	Kay, Hamaliya ki choti pay ja pohnchay
	Khuda phir tum say yeh poochay
	Abay Gadhay ab utray ga tu kesay
	
	Kamaata nahin hun itni ke tujhe roze khilaoon
	Aaati hai to aaa ja, ya kisi aur ko pataooon
	
	Chandni raat thi, main so rahi thi 
	Phir kisi ne darwaza khutkhataya
	Maine soncha mera dil aaya
	Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya
	
	Katchi Kali Katchnar Ki, Katcha Na Samjhna
	Lar Jaoonga Tere Baap Se Batcha Na Samajhna
	
	Angoothi Chanak Gaye, Nageena Nikal Gaya
	Afsos Tera Baap, Kameena Nikal Gaya
	
	Maana Ke Main Pura Musalman To Nahi
	Par Apne Deen Se Nata To Jor Sakta Hoon
	Nemaz Roza Kuch Na Sahi
	Shab-E-Barat Patakhe To Chor Sakta Hoon
	
	Dil Logi, Kay Jaan Logi
	Meri Jaan Set Hone main Kitna Time Logi
	
	Industrian sari mere yaar kha gaye
	Meri Sari jaydaaad rishtedar kha gaye
	Marne Ke baad bhi unho ne ki meri saath cheating
	banaye mazar to minaar kha gaye
	
	Use karte hein make-up ka daba roze kiyun?
	Ban sanwar kar nikalte hain chailaa roze kiyun?
	Mummy tum to kehti thee Eid to kab kee gaye
	Phir Parosan se gale miltay hain Papa roze kiyun?
	
	Yeh zulfain hain tumhari, ya resham ke jaal,
	Kitne khush-naseeb hain vo choohe
	Jin hon ne kutre tere baaal