1.      bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona
	        aadmee ko bhee muyassar naheeN  insaaN hona
	
	        [ dushwaar = difficult, muyassar = possible ]
	
	2.      giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki
	        dar-o-deevaar se  Tapke  hai bayaabaaN   hona
	
	        [ giriyaaN = weeping, kaashaana = house, bayaabaaN = wilderness ]
	
	3.      waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
	        aap jaana udhar aur aap  hee  hairaaN  hona
	
	4.      jalva  az_bas  ki taqaaza-e-nigah  karta hai
	        jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona
	
	        [ az = from/then/by, jauhar = skill/knowledge, mizhgaaN = eyelid ]
	
	5.      ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna  mat pooch
	        id-e-nazzaara  hai shamsheer  ka uriyaaN hona
	
	        [ ishrat = joy/delight, shamsheer = sword, uriyaaN = naked/bare ]
	
	6.      le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat
	        too  ho  aur  aap  ba_sad_rang-e-gulistaaN  hona
	
	        [ nishaat (or nashaat) = enthusiasm/happiness, sad_rang = hundred
	          colours ]
	
	7.      ishrat-e-paara-e-dil,  zaKHm-e-tamanna_KHaana
	        lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona
	
	        [ ishrat = joy/delight, paara = fragment/piece, lazzat = taste,
	          reesh = wound, GHarq = drown/sink, namakdaaN = container to
	          keep salt ]
	
	8.      kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
	        haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona
	
	        [ jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN = ashamed/
	          embarrassed ]
	
	9.      haif  us chaar girah kapDe  ki qismat 'GHalib'
	        jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona
	
	        [ haif = alas!, girah = one sixteenth of a yard, girebaaN = collar ]
	
	............................................................................
	
	
	1.      phir mujhe deeda-e-tar yaad aaya
	        dil jigar tashna-e-fariyaad aaya
	
	        [ deeda-e-tar = wet eyes, tashna (or tishna ) = thirsty ]
	
	2.      dam liya tha na qayaamat ne hanoz
	        phir tera  waqt-e-safar yaad aaya
	
	        [ hanoz = yet/still ]
	
	3.      saadgee    haay   tamanna,  yaanee
	        phir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya
	
	        [ nai_rang = fascinating ]
	
	4.      uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil
	        naala  karta  tha  jigar  yaad  aaya
	
	        [ uzr = excuse, waamaaNdagee = tiredness ]
	
	5.      zindgee yoN bhee guzar hi jaatee
	        kyoN  tera  raahguzar  yaad aaya ?
	
	6.      kya hee rizwaaN  se laDaayee hogee
	        ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya
	
	        [ rizwaaN = doorkeeper of paradise, KHuld = heaven/paradise ]
	
	7.      aah woh  jurat-e-fariyaad kahaaN
	        dil se tang aake jigar yaad aaya
	
	        [ jurat = courage/valour ]
	
	8.      phir tere kooche ko jaata hai KHayaal
	        dil-e-gumgashta  magar   yaad   aaya
	
	        [ koocha = a narrow street/lane, gumgashta = missing ]
	
	9.      koee weeraanee-see-weeraanee hai
	        dasht ko dekh ke  ghar yaad aaya
	
	        [ dasht = desert ]
	
	10.     maiNne majnooN  pe laDakpan meiN 'Asad'
	        sang  uTHaaya tha  ki  sar  yaad  aaya
	
	        [ sang = stone ]
	
	.........................................................................
	
	
	1.      kisee  ko  de ke dil  koee   nawaa_sanj-e-fuGHaaN   kyoN   ho ?
	        na ho jab dil hee seene meiN to phir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?
	
	        [ nawaa_sanj = singer, fuGHaaN = clamour ]
	
	2.      woh apnee KHoo na  choDenge, ham apnee waz'a  kyoN  badleiN ?
	        subak_sar banke  kya  poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?
	
	        [ KHoo = habit, waz'a = conduct/behaviour, subak_sar = light headed/
	          unsteady, sar_giraaN = arrogant/proud ]
	
	3.      kiya GHam_KHwaar ne ruswa,  lage aag is muhabbat ko
	        na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?
	
	        [ GHam_Khawaar = comforter, taab = courage/patience,
	          raazdaaN = friend ]
	
	4.      wafa kaisee ?  kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
	        to phir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN  ho ?
	
	        [ sang_dil = hard hearted/merciless, sang-e-aastaaN = threshold ]
	
	5.      qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
	        giree hai jis pe kal bijlee woh mera  aashiyaaN kyoN ho ?
	
	        [ qafas = cage/prison, roodaad = report/statement ]
	
	6.      ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao
	        ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?
	
	        [ nihaaN = hidden ]
	
	7.      GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa,  dekho juRm kiska hai
	        na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?
	
	        [ jazba = desire/feeling, shikwa = complaint,
	          kashaakash = struggle/dilemma, darmiyaaN = betwwen ]
	
	8.      ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?
	        hue tum dost jiske, dushman uska  aasmaaN  kyoN ho ?
	
	        [ fitna = quarrel, KHaanaa_weeraanee = ruinning of home ]
	
	9.      yahee  hai aazmaana to sataana kis  ko kehte haiN ?
	        `adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?
	
	        [ 'adoo = enemy, imtihaaN = examination ]
	
	10.     kaha  tumne ki  "kyoN  ho  GHair  ke  milne  meiN ruswaaee ?"
	        baja kehte ho, sach kehte ho, phir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"
	
	        [ ruswaaee = disgrace, baja = right/correct ]
	
	11.     nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'
	        tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?
	
	        [ taa'an = taunter, be_mehar = unkind/repulsive ]
	
	............................................................................
	
	
	1.      zulmat_kade meiN mere  shab-e-GHam ka josh hai
	        ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai
	
	        [ zulmat = darkness, daleele = proof, sahar = morning ]
	
	2.      nai  muzda-e-wisaal  na  nazzaara-e-jamaal
	        muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai
	
	        [ muzda = good news, wisaal = meeting, nazzaara-e-jamaal = seeing
	          a beautiful face, aashtee = harmony/friendship/peace, chashm = eye,
	          gosh = ear ]
	
	3.      mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
	        'ai shauq, yaaN  ijaazat-e-tasleem-e-hosh  hai
	
	        [ mai = bar, KHud_aara = self adorer, hijaab = veil,
	          tasleem = greeting ]
	
	4.      gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
	        kya  auj   par  sitaara-e-gauhar_farosh  hai
	
	        [ gauhar = pearl/gem, ikd-e-gardan = necklace, KHubaaN = a beautiful
	          person/sweetheart, auj = highest point/summit, farosh = merchant ]
	
	5.      deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
	        bazm-e-KHayaal    maikada-e-be_KHarosh    hai
	
	        [ deedaar = appearance, be_KHarosh = quite/dead ]
	
	6.      'ei taaza  waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
	        zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai
	
	        [ waaridan = arrivals, bisaat = chess, hawa = desire/greed,
	          zinhaar = be warned !, hawas = lust/greed, na-o-nosh = feasting/
	          drinking ]
	
	7.      dekho  mujhe jo  deeda-e-ibrat_nigaah ho
	        meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai
	
	        [ deedaa= sight, ibrat = admonition, gosh = ear, naseehat = advice,
	          niyosh = listener ]
	
	8.      saaqee   ba_jalwa  dushman-e-imaan-o-aagahee
	        mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai
	
	        [ aagahee = wisdom, mutrib = singer, rahazan = robber,
	          tamkeen = authority/power ]
	
	9.      ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
	        daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh   hai
	
	        [ gosha = corner, baaGHbaan = gradener, kaf = sleeve,
	          gul_farosh = florist ]
	
	10.     lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
	        yeh  jannat-e-nigaah  woh firdaus-e-gosh  hai
	
	        [ KHiraam = speed, zauq = taste, sada = sound, chang = lute,
	          firdaus = paradise, gosh = ear ]
	
	11.     ya subh  dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
	        nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai
	
	        [ suroor = pleasure, soz = passion/heat ]
	
	12.     daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
	        ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai
	
	        [ firaaq = separation, sohabat = company ]
	
	13.     aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
	        'GHalib',  sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai
	
	        [ GHaib = hidden/mysterious, mazaameeN = topics, sareer = scratching
	          sound made by a pen, KHaama = pen, nawa = sound, sarosh = angel ]
	
	............................................................................
	
	
	1.      jaur se  baaz aaye  par baaz  aayaiN  kya ?
	        kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?
	
	        [ jaur = opression/tyranny ]
	
	2.      raat din  gardish  meiN haiN  saat aasmaaN
	        ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?
	
	        [ gardish = misfortune/wandering about ]
	
	3.      laag  ho  to   usko  ham   samjaiN   lagaav
	        jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?
	
	        [ laag = love/affection ]
	
	4.      ho  liye   kyoN   naamaabar  ke  saath-saath ?
	        yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ?
	
	        [ naamaabar = messanger ]
	
	5.      mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye
	        aastaan-e-yaar    se    uTh   jaayaiN   kya ?
	
	        [ mauj = wave, mauj-e-KHooN = bloody waves, aastaan = abode ]
	
	6.      umr  bhar dekha  kiye marne kee raah
	        mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?
	
	7.      poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ?
	        koee  batlao   ki  ham  batlaayaiN  kya ?
	
	
	........................................................................
	
	
	1.      diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
	        huwa  raqeeb to ho,  naamaabar hai, kya kahiye ?
	
	        [ bashar = man/human being, raqeeb = opponent,
	          naamaabar = messenger ]
	
	2.      yeh zid, ki aaj  na aave aur aaye bin  na rahe
	        qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?
	
	        [ qaza = fate/destiny, shikwa = complaint ]
	
	3.      rahe haiN  yoN  gah-o-be_gah  ki koo-e-dost ko ab
	        agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?
	
	        [ gah = time, koo-e-dost = friend's/lover's street ]
	
	4.      zah-e-karishma ki yoN  de rakhaa hai  hamko fareb
	        ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye ?
	
	        [ zah = child, karishma = wonder/miracle, fareb = deception ]
	
	5.      samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
	        ki  yeh  kahe  ki  sar-e-rehguzar  hai,  kya  kahiye ?
	
	        [ pursish = enquiry, sar-e-rehguzar = on the road ]
	
	6.      tumhaiN naheeN  hai sar-e-rishtaa-e-wafa  ka KHayaal
	        hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?
	
	7.      unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
	        hame jawaab  se  qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?
	
	        [ zoam = pride, junooN = madness/frenzy,
	          qata'a = break/intercept, qata'a-e-nazar = to ignore ]
	
	8.      hasad  sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
	        sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?
	
	        [ hasad = envy/malice, sitam = oppression, bahaa = value/price,
	          mata'a = valuables ]
	
	9.      kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
	        siwaay iske  ki aashuftaa_sar  hai kya kahiye ?
	
	        [ aashuftaa_sar = mentally deranged ]