sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n
	abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n
	
	taahii zindagii se nahii.n ye fazaaye.n
	yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n
	
	kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
	chaman aur bhii, aashiyaa.N aur bhii hai.n
	
	agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam
	maqaamaat-e-aah-o-fugaa.N aur bhii hai.n
	
	tuu shahii.n hai parwaaz hai kaam teraa
	tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n
	
	isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa
	ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n
	
	gae din kii tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n
	yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n 
	
	

	Khudi ko kar buland itna  ke har taqder se pehle
	Khuda banday se yeh puchay, bata teri razaa kya hai
	
	Sitaron se aagay jahan aur bhi hain, aur bhi hain
	Abhi ishq ke Imtehan, aur bhi hain, aur bhi hain
	
	Tu shaheen hai Basera kar Paharon ki chatano per
	Tu shaheen hai tu Shaheen hai tu shaheen hai
	
	Khudi ko kar bulund itna ke har taqdeer se pehle
	Khuda banday se yeh puchay, bata teri raza kya hai
	
	
	
	Hai yaad mujhe nukta-e-sulaiman-e-khush ahang
	Dunya nahi mardaan-e-jafakash ke liye tang
	
	
	
	Cheetah ka jigar chahiye shaheen ka tajassus
	Jee sakta hai be-roshni daanish-o-farhang
	
	
	
	Kar bulbul-o-taoos ki takhleed se tauba
	Bulbul fakat awaaz hai, taoos fakat rang 
	
	
	
	tere ishq kii intahaa chaahataa huu.N
	merii saadagii dekh kyaa chaahataa huu.N
	
	sitam ho ki ho vaadaa-e-behijaabii
	ko_ii baat sabr-aazamaa chaahataa huu.N
	
	ye jannat mubaarak rahe zaahido.n ko
	ki mai.n aap kaa saamanaa chaahataa huu.N
	
	ko_ii dam kaa mehamaa.N huu.N ai ahal-e-mahafil
	chiraaG-e-sahar huu.N, bujhaa chaahataa huu.N
	
	bharii bazm me.n raaz kii baat kah dii
	ba.Daa be-adab huu.N, sazaa chaahataa huu.N