aaye kuchh abr kuchh sharaab aaye 
	us ke baad aaye jo azaab aaye 
	
	baam-e-miinaa se maahataab utare 
	dast-e-saaqii me.n aaftaab aaye 
	
	har rag-e-Khuu.N me.n phir charaaGaa.N ho 
	saamane phir wo benaqaab aaye 
	
	umr ke har waraq pe dil ko nazar 
	terii meher-o-wafaa ke baab aaye 
	
	kar rahaa thaa Gam-e-jahaa.N kaa hisaab 
	aaj tum yaad behisaab aaye 
	
	na gaii tere Gam kii saradaarii 
	dil me.n yuu.n roz inqalaab aaye 
	
	jal uThe bazm-e-Gair ke dar-o-baam 
	jab bhii ham Khaanamaa.N_Kharaab aaye 
	
	is tarah apanii Khamashii guu.Njii 
	goyaa har simt se jawaab aaye 
	
	'Faiz' thii raah sar basar ma.nzil 
	ham jahaa.N pahu.Nche kaamayaab aaye 
	
	
	
	bahaar aa_ii to jaise ek baar
	lauT aaye hai.n phir adam se
	vo Khvaab saare, shabaab saare
	jo tere ho.nTho.n pe mar miTe the
	jo miT ke har baar phir jiiye the
	nikhar gaye hai.n gulaab saare
	jo terii yaado.n se mushk_buu hai.n
	jo tere ushshaaq kaa lahuu hai.n
	
	ubal pa.De hai.n azaab saare
	malaal-e-ahavaal-e-dostaa.N bhii
	Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaa.N bhii
	Gubaar-e-Khaatir ke baab saare
	tere hamaare
	savaal saare, javaab saare
	bahaar aa_ii to khul gaye hai.n
	naye sire se hisaab saare
	
	
	
	dil me.n ab yuu.N tere bhuule huye Gam aate hai.n 
	jaise bichha.De huye kaabe me.n sanam aate hai.n 
	
	ik ik kar ke huye jaate hai.n taare raushan 
	merii manzil kii taraf tere qadam aate hai.n 
	
	raqs-e-may tez karo, saaz kii lay tez karo 
	suu-e-maiKhaanaa safiiraan-e-haram aate hai.n 
	
	kuchh hamii.n ko nahii.n ehasaan uThaane kaa dimaag 
	vo to jab aate hai.n maa_il-ba-karam aate hai.n 
	
	aur kuchh der na guzare shab-e-furqat se kaho 
	dil bhii kam dukhataa hai vo yaad bhii kam aate hai.n 
	
	
	
	dono jahaa.N terii mohabbat me.n haar ke 
	wo jaa rahaa hai koii shab-e-Gam guzaar ke 
	
	viiraa.N hai maikadaa Khum-o-saaGar udaas hai 
	tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke 
	
	ik fursat-e-gunaah milii, wo bhii chaar din 
	dekhe hai.n ham ne hausale parvar-digaar ke 
	
	duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa 
	tujh se bhii dil fareb hai.n Gam rozagaar ke 
	
	bhuule se muskuraa to diye the wo aaj 'Faiz' 
	mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke 
	
	
	
	nahii.n nigaah me.n manzil to justajuu hii sahii 
	nahii.n visaal mayassar to aarazuu hii sahii 
	 
	na tan me.n Khuun faraaham na ashk aa.Nkho.n me.n 
	namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii 
	 
	kisii tarah to jame bazm maikade vaalo 
	nahii.n jo baadaa-o-saaGar to haa-o-huu hii sahii 
	 
	gar intazaar kaThin hai to jab talak ai dil 
	kisii ke vaada-e-fardaa kii guftaguu hii sahii 
	 
	dayaar-e-Gair me.n maharam agar nahii.n ko_ii 
	to 'Faiz' zikr-e-vatan apane ruu-ba-ruu hii sahii 
	
	
	
	nasiib aazamaane ke din aa rahe hai.n 
	qariib un ke aane ke din aa rahe hai.n 
	
	jo dil se kahaa hai jo dil se sunaa hai 
	sab un ko sunaane ke din aa rahe hai.n 
	
	abhii se dil-o-jaa.N sar-e-raah rakh do 
	ke luTane luTaane ke din aa rahe hai.n 
	
	Tapakane lagii un nigaaho.n se mastii 
	nigaahe.n churaane ke din aa rahe hai.n 
	
	sabaa phir hame.n puuchhatii phir rahii hai 
	chaman ko sajaane ke din aa rahe hai.n 
	
	chalo "Faiz" phir se kahii.n dil lagaaye.N 
	sunaa hai Thikaane ke din aa rahe hai.n 
	
	
	
	terii ummiid teraa i.ntazaar jab se hai 
	na shab ko din se shikaayat na din ko shab se hai 
	
	kisii kaa dard ho karate hai.n tere naam raqam 
	gilaa hai jo bhii kisii se terii sabab se hai 
	
	huaa hai jab se dil-e-naasabuur beqaabuu 
	kalaam tujhase nazar ko ba.Dii adab se hai 
	
	agar sharar hai to bha.Dake, jo phuul hai to khile 
	tarah tarah kii talab tere rang-e-lab se hai 
	
	kahaa.N gaye shab-e-furqat ke jaaganevaale 
	sitaaraa-e-sahar ham-kalaam kab se hai 
	
	
	
	yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa rang 
	yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa rang 
	
	saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal 
	surKhii-e-lab pe pareshaa.N terii aavaaz kaa rang 
	
	bepiye ho.n ki agar lutf karo aaKhir-e-shab 
	shiishaa-e-may me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa rang 
	
	cha.ngo-nay rang pe the apane lahuu ke dam se 
	dil ne lay badalii to madham huaa har saaz kaa rang 
	
	ik suKhan aur ki phir rang-e-takallum teraa 
	harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa rang