Maza Aa Gaya

	
	Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
	Jab Nazar Se Milaayi Maza Aagaya
	Barq Si Gir Gayi Kaam Hee Kar Gayi
	Aag Aisee Lagaayi Maza Aagaya
	
	Jaam Mein Ghoul Kar Husn Kee Mastiyaan
	Chaandni Muskurai Maza Aagaya
	Chaand Ke Sa'ay Mein Ay Mere Saaqiya
	Tu Ne Aisee Pilaayi Maza Aagaya
	
	Nasha Sheeshe Mein Angrai Laine Laga
	Bazm E Rindaan Mein Saagar Khanakne Laga
	Maikade Pe Barasne Lagi Mastiyaan
	Jab Ghata Gir Ke Chaayi Maza Aagaya
	
	Be Hijabaana Wo Saamne Aagaye
	Aur Jawaani Jawaani Se Takra Gayi
	Aankh Unki Laree Yoon Meri Aankh Se
	Daikh Kar Ye Laraai Maza Aagaya
	
	Aankh Mein Thee Hayaa Her Mulaqaat Par
	Surkh Aariz Hu'ay Wasl Ki Baat Par
	Us Ne Sharma Ke Mere Sawaalat Pe
	Aise Gardan Jhukaayi Maza Aagaya
	
	Shaikh Sahib Ka Imaan Bik He Gaya
	Daikh Kar Husn E Saqi Pigal He Gaya
	Aaj Se Pehle Ye Kitne Maghroor The
	Lut Gayi Parsaayi Maza Aagaya
	
	Ay Fana Shukr Hai Aaj Baad E Fana
	Us Ne Rakh Le Mere Pyaar Kee Aabro
	Apne Haathon Se Usne Meri Qabr Par
	Chaadar E Gul Charhaayi Maza Aagaya
	
	Mere Rashk E Qamar Tu Ne Pehli Nazar
	Jab Nazar Se Milaayi Maza Aagaya...