![]() Kab Yaad Mere Tere Saath Nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi sud shukar k apni raaton mein, ub hijr ki koi raat nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi mushkil hein agar halaat wahaan, dil baich aan'ain jaan de'aain dil walo kocha-e-jaannaan, kia aisay bhi halat nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi jiss dhajh say koi maqtal mein gaya wo shaan salamat rehti hai yeah jaan to aani janii hai, is jaan ki to koi baat nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi medaan-e-wafa darbaar nahi, yaan naam-o-nasab ki pooch kahan aashiq to kisi ka naam nahi, kuch ishq kisi ki zaat nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi yeah baazi ishq ki baazi hai, jo chahay laga do dar kaisa gar jeet gaye to kia kehna, haaray bhi to baazi maat nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi mushkil hein agar halaat wahaan, dil baich aan'ain jaan de'aain dil walo koocha-e-jannaan, kia aisay bhi halaat nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi sud shukar k apni raaton mein, ub hijr ki koi raat nahi kab yaad mein tera saath nahi, kab haath mein tera haath nahi |