Chupke Chupke - Ghulam Ali

	chupake chupake raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai 
	ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai 
	
	baahazaaraa.N iztiraab-o-sad-hazaaraa.N ishtiyaaq 
	tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai 
	
	tujhase milate hii vo bebaak ho jaanaa meraa 
	aur teraa daato.n me.n vo u.Ngalii dabaanaa yaad hai 
	
	khii.nch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan 
	aur dupaTTe se teraa vo muu.Nh chhupaanaa yaad hai 	
	
	Gair kii nazaro.n se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf 
	vo teraa chorii chhipe raato.n ko aanaa yaad hai 
	
	aa gaya gar vasl kii shab bhii kahii.n zikr-e-firaaq 
	vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai 
	
	do-pahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye 
	vo teraa kothe pe na.nge paao.n aanaa yaad hai 	
	
	chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah 
	muddate.n guzarii.n par ab tak wo thikaanaa yaad hai 
	
	beruKhii ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaa.N 
	aur teraa hatho.n me.n vo ka.ngan ghumaanaa yaad hai 
	
	vaqt-e-ruKhsat alvidaa kaa lafz kahane ke liye 
	vo tere sukhe labo.n kaa thar-tharaanaa yaad hai 
	
	Kuch Door Hamaare Saath Chalo
	
	Kuch door hamaare saath chalo
	Ham dil kee kahaanee keh deNge
	Samjhe na jise tum aaNkhoN se
	Vo baat zabaanee keh deNge
	
	PhooloN ki tarah jab hoToN pe
	Ik shoKH tabassum bikhrega
	Dheere se tumhaare kaanoN meiN
	Ik baat puraanee keh deNge
	
	Izhaar-e-vafa tum kya jaano
	Ikraar-e-vafa tum kya jaano
	Ham zikr karenge GHairoN ka
	Aur apnee kahaanee keh deNge
	
	Mausam to baDa hee zaalim hai
	Toofaan uTHaata rehta hai
	Kuch log magar is halchal ko
	Bad-mast javaanee keh deNge
	
	Muddaton Baad
	
	muddatoN baad vo soorat jo dikhaaee dee hai
	dil kee dhaDkan mujhe aaNkhoN se sunaaee dee hai
	
	shaam se jaag rahee haiN vo nidaasee aaNkheN 
	Doobte chaaNd ne khiDkee se baDHaaee dee hai
	
	us janam meiN bhee mulaaqaat kee ummeed naheeN
	is janam ne to janam bhar kee judaaee dee hai
	
	hamne pehle bhee ye KHwaaboN ka safar dekha hai
	dhoop itnee thee ke sehra ne duhaaee dee hai
	
	Husn Ko Chaand
	
	husn ko chaaNd javaanee ko kaNval kehte haiN
	unkee soorat nazar aaye to GHazal kehte haiN
	
	uf! vo marmar se taraasha hua shafaaf badan
	dekhne vaale use taaj mahal kehte haiN
	
	paD gayee paaoN meiN taqdeer kee zanjeer to kya
	ham to usko bhee teree zulf ka bal kehte haiN
	
	mujhko maaloom nahee iske siva kuch bhee katee
	jo sadee vasl meiN guzre use pal kehte haiN
	
	Kab Tak Yoon Heen
	
	kab tak yuNhee rulaayeNgee tanhaaiyaaN hameiN
	na milegee kya kabhee teree parchaaiyaaN hameiN
	
	shaayad vafa ke phool khileNge bahaar meiN
	sadiyaaN guzar gayee haiN isee intezaar meiN
	taDapa rahee hai dard kee shehanaaiyaaN hameiN
	
	ham kho gaye to phir na mileNge kabhee tujhe
	dar-dar phiraayegee teree deevaangee tujhe
	DHooNDeNgee teree rooH kee geheraaiyaaN hameiN
	
	Sarakati Jaye Hai Rukh Se Naqaab Aahista
	
	sarakatii jaaye hai ruKh se naqaab aahistaa-aahistaa
	sarakatii jaaye hai ruKh se naqaab aahistaa-aahistaa 
	nikalataa aa rahaa hai aaftaab aahistaa-aahistaa 
	jawaa.N hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa 
	hayaa yakalaKht aayii aur shabaab aahistaa-aahistaa 
	shab-e-furkat kaa jaagaa huu.N farishto.n ab to sone do 
	kabhii fursat me.n kar lenaa hisaab aahistaa-aahistaa 
	savaal-e-vasl par unako uduu kaa Khauf hai itanaa 
	vo ho.nTho.n se dete hai.n javaab aahistaa aahistaa 
	hamaare aur tumhaare pyar me.n bas fark hai itanaa 
	idhar to jaldii jaldii hai udhar aahistaa aahistaa 
	vo bedardii se sar kaaTe "ameer" aur mai.n kahuu.N un se 
	huzuur aahistaa aahistaa, janaab aahistaa-aahistaa
	
	Kyon Zindagi Ki Raah Main Majboor Ho Gaye
	
	kyuu.N zindagii kii raah me.n majabuur ho gae
	kyuu.N zindagii kii raah me.n majabuur ho gae 
	itane hue kariib ki ham duur ho gae 
	aisaa nahii.n ki hamako koii bhii khushii nahii.n 
	lekin ye zindagii to koI zindagii nahii.n 
	kyo.n isake faisale hame.n ma.nzuur ho gae 
	paayaa tumhe.n to hamako lagaa tumako kho diyaa 
	ham dil pe roe aur ye dil ham pe ro diyaa 
	palako.n se Kvaab kyo.n gire kyo.n chuur ho gae
	
	Main Khyal Hoon Kisi Aur Ka
	
	MaiN KHayaal hooN kisee aur ka
	Mujhe sochta koi aur hai
	Sar-e-aaina mera aks hai
	Pas-e-aaina koi aur hai
	
	MaiN kisee ke dast-e-talab meiN hooN
	To kisee ke harf-e-dua meiN hooN
	MaiN naseeb hooN kisee aur ka
	Mujhe maangta koi aur hai
	
	Kabhee laut aaye to poochna
	NaheeN dekhna use GHaur se
	Jinhe raaste pe khabar huee
	Ke ye raasta koi aur hai
	
	Tujhe dushmanoN kee khabar na thee
	Mujhe dostoN ka pata na tha
	Teree daastaaN koi aur thee
	Mera vaakaya koi aur hai