BEST OF LUCKY ALI
	
	
	
	Shaam sawere teri yaadein aati hain
	Aake dil ko mere yu tadpati hain
	O Sanam mohabbat ki kasam,
	
	Milke bichad na to dastoor ho gaya
	Yadoon mein teri main jo door hogaya
	O Sanam teri yadoon ki kasam
	
	Samjhe zamaana ke dil he khilona
	Jaana hai ab kya hai dil ka lagana
	Nazroon se na yu humko girana
	Mar bhi gaye toh bhul na jaana.
	
	Ankhon mein bassee ho
	Par door ho kaheen
	Dil ke kareeb ho
	Yeh mujhko hai yakeen
	O Sanam tere pyar ki kasam.
	
	
	Aap par arz hai laakhon karodon arbon salaam
	Aap na hote to yeh dil, jaane kisko deta dua
	Hm hmm hmm hm hm hm hm
	Aap ki inayatein, aap ki hidayatein
	Aap ki yeh bande nawazi, aap ko woh sharmila pan
	Lehratey jaaon, muskatey jaoon
	Dil to main apne samjhatey jaoon
	Aap par arz hai laakhon karodon arbon salaam
	Hm hmm hmm hm hm hm hm
	Hm hmm hmm hm hm hm hm
	
	Shaam savere na aao nazar
	Kudrat ki dhoondho main aisi dagar
	Kis ko sunaaoon mein haal-e-jigar
	Tadpa hoon main to saari umar
	Chalta hi jaaon, rukne hi paaon
	Dil to main apne darr late jaoon
	Aap par arz hai laakhon karodon arbon salaam
	Aap na hote to yeh dil, jaane kisko deta dua


	Raat chaandni chaai hui hai chamak raha hai tara
	Thandi thandi yeh purvaayi socho kisne banaaya, ho
	Tum hi ho pehle, tum hi ho aakhir, tum hi se saara jahaan
	Tum hi se maa baap, tum hi se bachpan, tum hi se samaa
	
	Paed parinde paani ka jharna, tum se chaman ka mehekna
	Neele neele phoolon mein bhavron, ka hai yahi gungunaana, ho
	Tum hi se shabnam, tum hi se khushboo, tum hi se hai yeh bahaar
	Tum hi se jhonke mast hawaa ke, tum hi se fiza
	Hoo hoo hoo hoo hoo hoo hoo
	Hmm hmm hmm hmm hmm hmm
	
	Dono jahaan ka tu hai ujaala Rab, tune hai humko paala
	Tera hai ambar, teri hai dharti, tera hai yeh jag saara, oh
	Tum hi se badal, tum hi se saawan, tum hi se hai yeh ghata
	Tum hi se bijli, tum hi se toofan, tum hi se khumaar
	Hoo hoo hoo hoo hoo hoo hoo
	Hmm hmm hmm hmm hmm hmm
	

	Kyon Chalti Hai Pavan
	Kyon Jhume Hai Gagan
	Kyon Machalta Hai Mann
	Na Tum Jano Na Hum
	Na Tum Jano Na Hum
	
	Kyon Aati Hai Bahaar
	Kyon Lutta Hai Karaar
	Kyon Hota Hai Pyaar
	Na Tum Jano Na Hum
	Na Tum Jano Na Hum
	
	Ye Madhoshiyaan Ye Tanhaiyaan
	Tasabur Mein Hai Kiski Parchhaiyaan
	Ye Bhiga Samaan Umangein Jawaan
	Mujhe Ishq Le Ja Raha Hai Kahaan
	Kyon Gum Hai Har Disha
	Kyon Hota Hai Nasha
	Kyon Aata Hai Mazaa
	Na Tum Jano Na Hum
	Na Tum Jano Na Hum
	
	Dhadakta Bhi Hai Tadapta Bhi Hai
	Ye Dil Kyon Achanak Bahakta Bhi Hai
	Mahakta Bhi Hai
	Chahakta Bhi Hai
	Ye Dil Kya Vafa Ko Samajhta Bhi Hai
	Kyon Milti Hain Nazar
	Kyon Hota Hai Asar
	Kyon Hoti Hai Sahar
	Na Tum Jano Na Hum
	Na Tum Jano Na Hum
	
	Kyon Chalti Hai Pavan
	Kyon Jhume Hai Gagan
	Kyon Machalta Hai Mann
	Na Tum Jano Na Hum
	
	Kyon Aati Hai Bahaar
	Kyon Lutta Hai Karaar
	Kyon Hota Hai Pyaar
	Na Tum Jano Na Hum
	Na Tum Jano Na Hum