![]() Bikhari hui zulfon ko girahgeer bana lo Rakhna hai mujhe qaid to zajeer bana lo Kagaz pay lakeerain to bohot kheech li tumne Ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo Saamnay baithi raho dil ko qaraar aayega Jitna dekhengay tumhain, utna hi pyar aayega Hosh waalon ko khabar kya bekhudii kya cheez hai Ishq kijiye phir samajhiye, zindagi hai cheez kya Jis shaam mere lab per tera naam na aaye, Khuda kare aisi shaam na aaye.... Aye jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin, Afsaana likhoon aur tera naam ma aaye Baat chali teri aankhon say Ja pahunchi paimanay tak Keech rahi hai teri ulfat Aaj mujhe maikhaanay tak Kab Se Tere Intezaar Main Dil Lagaye Tere Dedaar Baithe Hai Teri Ek Nazar Hum Par Paray Tamanna Lagaye Hum Bhi Bhete Hai Tumhain Dil Main Basaye Rakhta Hoon, Aur Duniya Ko Bhulaye Rakhta Hoon Tumhe Meri Nazar Na Lag Jaye Apni Nazar Jhukaye Rakhta Hoon Mohabbat Karne Wale Iss Duniya Mein Kam Na Honge Meri Jaaan Teri Mehfil Mein Bas Hum Na Honge Dil cheez hai aisi, hai dene ki day denge Koi qubul karnay wala to milay Hum jaan bhi day denge Tere naam hum nay kia hai Zindagi apna tere naam Pyar bohot kartay hain tum se Ishq tu hai hamara sanam Ab Tum Batao Kyon Mujhse Door Ho Milna Manzoor Nahi Ya Meri Tarah Majboor Ho Zindagi khushi ka hai naam, isay ronay main zaya na kijiye Husiye khud bhi aur sung apnay, dusro ko bhi hasaya kijiye Tum jaan toontnay ka bahana na karo Hum teri aankhon say pee lenge Tum na aao, bus aanay ka wada karo Hum intezaar main jee lenge Dil ki halat dil say poocho Dillagi main dil gaya Dil kay badlay dil kay haatho Dard-e-dil main mil gaya Zinda hoon is liye kyon ki mujh ko tumse pyar hai Tum bhi mujhse pyar karti ho Sunnay ko dil beqaraar hai Pyar ka izhaar kar do Ab hum say nahi raha jaata Likh ker hi iqraar ker lo Agar hothon pay nahi aata Kab say hai hum ko yeh intezaar Kar do na tum bhi iqraar Bus keh do ki hai tum ko bhi Hai tum ko bhi utna hi pyar Pyar kehte hain, mohabbat kehte hain Kuch log isay bandagi kehte hain Magar jin pay hain hum martay Hum unhain zindagi kehte hain Tera diwana hoon, inkaar nahi Kaise keh doon kay tujhse pyar nahi Kuch shararat teri aankho ki bhi hai Main tanhaa to gunehgaar nahi Jahaaan dekho wahaan ishq kay bimaar baithe hain Laakho mar chukay, saikro taiyyar baihte hain Jo sachcha pyar karta hai woh kahan faryaad karta hai Labon ko hilnay nahi deta Dil o dil yaad karta hain Musqurate Hai To Bijliya Gira Dete Hein Baat Karte Hein To Deewana Bana Dete Hein Husan walo Ki Nazar Kam Nahi Kyamat Se Aag Pani Me Vo Nazaro Se Laga Dete Hein Khuda Janay Mohabbat Ka Kya Dastoor Hota Hai Hum jis say ishq kartey hain, wohi humse door hai Soya nahi kaye raaton se Is dil main tum hi samaye ho Her aahat per aisa lagta hai Kay shayad tum aaye ho |