Aye mohabbat tere anjaam pe rona aaya,
	Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya..
	  Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thi,
	  Aaj kuch baat hai, jo shaam pe rona aaya..
	Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila,
	Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya...
	   Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka
	  Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya
	  
	Is hasrat se mila kya mujhko
	Ik jhalak mere dildaar ki
	   Is muhabbat se mila kya mujhko
	   Bechaini-o-beqarari yaar ki,
	Is ashiqui se mila kya mujhko
	Ik sunahari raah ishq ki,
	  Aur tere pyaar se mila kya mujhko
	  Ik raah jeene ki hamvaar si
	  
	Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana 
	na jaane kahan kho gaya vo zamana 
	   tumhen bhuulane ki main koshish karunga 
	   ye vaada karo ke na tum yaad aana 
	mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai 
	tumhen bevafaa kah raha hai zamana 
	   Khudara meri qabr pe tum na aana
	   tumhen dekh kar shaq karega zamana
	   
	Wada to ker lete hain
	Nibhana bhool jate hain
	Lagaaa kar aaag seene main
	Bujhana bhool jate hain
	
	Kuchh na kisi se bolenge
	tanhaaii mein ro lenge
	   hum be-rahabaron ka kyaa 
	   saath kisi ke ho lenge
	Khud to hue rusvaa lekin
	tera bhaid na kholenge
	   jeevan zahar bharaa saagar
	   kab tak amrit gholenge
	neend to kya aaegii 'Faraz'
	maut aai to so lenge
	
	Dost ban ban ke mile mujhko mitaane vaale 
	mai ne dekhe hain kai rang badalane vaale ........
	   Tumne chup rahkar sitam aur bhi dhaayaa mujh par 
	   tumse acche hain mere haal pe hansne vaale... 
	Mai tou ikhlaaq ke haathon hi bikaa kartaa hoon 
	aur honge tere baazaar mein bikne vaale ......
	   Aakhrii daur pe salaam-e-dil-e-muztar le lo 
	   phir naa lautenge shab-e-hijr pe ronevaale
	   
	Khoob aati hai jab bhi aati hai,
	Yaad teri bahot sataati hai,
	Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
	Teri soorat ubhar ke aati hai
	
	Bhoolne waale se koyi keh de zara
	is tarah yaad aane se kya faaida,
	   Jab mere dil ki duniya basaati nahin
	   phir khayaalon mein aane se kya faaida
	Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
	Aap kya badle duniya badal si gayi,
	   Aasra de ke dil tod te hain mera
	   Is tarah sataane se kya faaida, 
	Chaar tinke jala ke kya mil gaya
	Mit sakana zamane se mera nishaan,
	   Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
	   Aashiaan par girane se kya faaida
	   
	   
	Daastaan-e-gham-e-dil unko sunaii na gayi 
	baat bigdii kuchh aisii ki banaii na gayi 
	   Sab ko ham bhool gaye josh-e-junoon mein lekin 
	   ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
	Ishq par kuchh na chalaa dida-e-tar ka jaadoo 
	usne jo aag lagaa di woh bujhaai na gayi
	
	Yaaron mar bhi gaya to,
	Aarti meri dafnaa dena
	Utha kar janaza mera,
	Unki gali ghuma dena
	Agar wo mera pata puche to
	Shamshaan ghaat bata dena
	
	Yeh ladki jawani main, jawani se, jawano ko tarpaye gi
	Aankhon se karegi qatal, aur labon se muskaraye gi
	
	Raat itni haseen thi
	Ke saare so rahe the
	Hum hi aise badnaseeb the
	Jo aap ki yaad main ro rahe the